Door Nagar Ke Bujaare Kyun Aaj Safar Ki Thaani Hai
Yeh Baarish, Mitti, Sard Hawa Aur Raah Kathan Anjaani Hai
Aaa Mehfil Chup Chup Bethi Hai Aa Mehfil Ka Jee Shaad Karein
Wo Loug Jo Tere Aashiq Hain Ke Roz Hi Tujh Ko Yaad Karein
Wo Thor Thikaane Dhoond Chuke Wo Manzil Manzil Chhu Aaye
Abb Aas Lagaye Bethe Hain Kab Dastak Ho Kab Tu Aaye
Ayay Door Nagar Ke Bunjaare Gar Chhor Ke Aisay Jaana Tha
Kyun Chaah Ki Raah Dikhaai Thi Na Payaar Se Haath Barhaana Tha
Hai Dunia Ke Hungaamon Mein Rageeni Bhi Raanaai Bhi
Har Cheez Yahan Ki Payaari Hai Mehroomi Bhi Ruswaai Bhi
Phir Tum Tou Aik Khilaari The Kyun Khel Hi Se Mun Mor Liya
Kyun Jaan Ki Baazi Haar Gayay Kyun Umar Se Rishta Tor Lia.
No comments:
Post a Comment