wo ladki bhi ek ajeeb pehali thi
pyase honth the oske ankh samnder jasi thi
soraj osko dekh ke peela parta tha
wo sarma ki dhoop mein dhul ker nikalti thi
is ko apne saye se dar lagta tha
soch ke sehra mein wo tanha hirni thi
ate jate mausam os ko daste the
hanste hanst palkon se roo parti thi
adhi raat ghanwa deti thi chup reh ker
adhi raat ke chand se batein karti thi
door se ujre mander jaisa ghar oska
wo apne ghar mein akloti devi thi
moom se nazuk jisam sehar ko dukhta tha
deye jala ker shab bar ap pigalti thi
teez hawa ko rook ke apne anchal per
sokhe phool ikhate karti phirti thi
sab per zahir ker deti thi bheed apna
sab se ik tasveer chupaye phirti thi
kal shab chikna chor hova tha dil os ka
ya pehi bar wo khul ker roo di thi
mohsin kia jane kyu dhoop be parwa
wo apne ghar ki dehleez per bhethi thi
No comments:
Post a Comment