jahna pholon ko khilna tha wahin khilte to acha tha
tumhi ko hum ne chaha tha tumein milte to acha tha
koi aa ker hamein poche tumein kaise bulaya hai
tumhare khat ko ashkon se shab-e-ghum mein jalya hai
hazaron zakhm ase hein agar silte to acha tha
tumhi ko hum ne chaha hai tumein milte to acha tha
tumein jitna bulaya hai tumari yaad ayi hai
bahar-e-nau jo ayi hai wohi khusbo hi layi hai
tumhare lab meri khatir agar hilte too acha tha
tumhi ko hum ne chaha hai tumi milte to acha tha
mila hai lutf bhi hum ko hasein yadoon ki jhilmil mein
kati hai zindagi tum bin magar itni si hai dil mein
agar ate too acha tha agar milte to acha tha
tumi ko hum ne chaha tha tumein milte to acha tha
No comments:
Post a Comment