kuch is qadar too asana nahi ishq tera
ye zahir dil mein utar ker hi raas ata hai
mein tujh ko paa ke bhi khoa hova sa rehata hoon
kabhi kabhi to mujhe to ne theek samjha hai
muje khabar hai ke kia hai judaion ka azab
ke mein ne shakh se gul ko bicharte dekha hai
mein muskra bhi para hoon to kyu khafa hein ye log
ke phool toti hoe qabroon per bhi khilta hai
ise gnwa ke mein zinda hoon is tarha mohsin
ke jase teez hawa mein chiragh jalta hai
No comments:
Post a Comment