Woh jab chalti hai to raahon main 100-100 ke note bichhaa deta hoon
Woh jab chalti hai to raahon main 100-100 ke note bichhaa deta hoon
Uske jaane ke baad woh sab note utha leta hoon…………………..
Kash mere dardo ki tujhe aise saja mile,
Kash mere dardo ki tujhe aesi saja mile,
Tuje aayi ho bade jor se SUSU,
Aur kahi karne ki jaga na mile
pyar ek bar ho to ushe bholapan kehte hein,
agar wo do bar ho to ushe apnapan kehte hein,
teen bar ho to ushe deewanapan kehte hein,
aur agar bar bar ho ushe kaminapan kehte hein.
Shahjahan ne TAJMAHAL ki
Har deewar ko dekha
Har meenar ko dekha
Har kaleen ko dekha
Har khidki ko dekha
aur bola……..
MAA KASAM BAHUT KHARCHA HO GAYA!!!
(Pls Read in the rythm of… Tum to Thahre pardesi,Saath kyaa Nibhaaoge!)
Tum to Thahre bakri chor.., Bhains Kya Churaaoge……!
Tum to Thahre bakri chor.., Bhains Kya Churaaoge……!
Subah Doodh waali ke Haathon.. Tum pakde Jaaoge…!
Gar Bach gaye to bhiiiiii…! Bhag ke Kahan Jaaoge….!
Tum to Chhup Jaaoge lekin.., bhains Kahan Chhupaaoge..!
Tum to Thare bakri Chor…., Bhains Kya Churaaoge………….!!!
Jawani ke din chamkile ho gaye,
husn ke tewar nukile ho gaye,
hum izhar karne me thode dhile ho gaye,
AUR UNKE HATH PEEL HO GAYE….
Jise dil diya woh dilli chali gayi
Jise pyar kiya woh italy chali gayi
Dil ne kaha khud kushi(sucide) kar le jalim
Bijali ko haath lagaya to bijali chali gayi
TERI JULF HAI YA ANDHERI RAAT KA SAAYA
TERI JULF HAI YA ANDHERI RAAT KA SAAYA
SAR MUNDWA LE TO SAVERA HO JAI.
Kaaash ke tere chehre par Chickenpox ke daag hote…..
Kaaash ke tere chehre par chickenpox ke daag hote…..
Chand to tu hai hi ..sitaare bhee saaath hote
ladka bola :
kash ein hasinao ke baap mar jate,
bahana gam ka hota, hum inke ghar to jaate.
Ladki boli:
Bewkoof, Yeh bolana bhi paap hoga,
kisi din tu bhi kisi hasina ka baap hoga.
Ladki boli:
Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi,
Mohabbat ek se hoti hai, hazaaron se nahi.
Ladka bola :
Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya hoga,
Mohabbat agar ek se hogi to h! azaron ka kya hoga.
O shayeri sunne walo jara
Gor se suno
Age ka nahi aata
Kisi aur se suno
No comments:
Post a Comment