Tuesday, August 19, 2008

mujh ko dondho nahi

mujh ko dondho nahi
mein jo apne hi saye mein mehsoor hoon
mein jo apne hi hone mein majboor hoon
mujh ko dondho nahi
dasht-e-dil mein bathkte musafer ko
dil se bahir kahin
zindagi ho na ho
roshni ho na ho
mein bhi aisa musafer hoon jis ko faqt
rasta chahye
zindagi too nahi
mein tumein khojte kho gaya hoon kahin
mein too khod se hi gum ho gaya hoon kahin
mujh ko dondho nahi
wo jo khod se hi kho jaye is ke liye
phir kahin kuch nahi
arzo, dharknein, justajo, fasle
ab too lagta hai jase kahin kuch nahi
ik zara bhi nahi
arzo be basar
dharknein be asaar
justajo be samar
fasle??....kia kahon??
faslon ke to mane hi baqi nahi
koi mane hi baqi nahi
koi mane hi baqi nahi jab kahin
aur kia chahye tum batlao too bala
zakhm dil ke sile, na sile bhi to kia

tum jo mil bhi gaye na mile bhi too kia

No comments:

Raj-Sharma-Stories.com

Raj-Sharma-Stories.com

erotic_art_and_fentency Headline Animator